Aawaara Angaara lyrics
Teri kaynaat, mere khaali haath aur taar-taar sapne
Gaye zakhm jaag, mere seene aag, lagi saans-saans tapne
Teri kaynaat, mere khaali haath aur taar-taar sapne
Dardon se choor, gham ka guroor, kahun kya main haal apne
Aawara, aawara, awaara angaara
Raaton mein dooba ambar ka banjaara
Jaane toota kyun, main sheesha na taara
Teri kaynaat, mere khaali haath
Aur taar-taar sapne
Gaye zakhm jaag, mere seene aag
Lagi saans-saans tapne
Koi udhaari hai, seene pe bhaari hai
Patthar hai ya dil hai?
Main hi akela hoon, main hi to mela hoon
Yeh kaisi mehfil hai?
Roothe savere hain, aadhe yeh mere hain
Aadhe hain yeh tere
Tu hai nigaahon mein, laava hai aahon mein
Par sard shaam ghere
Aawara, aawara, awaara angaara
Aansu hain mere ya pighla hai paara?
Jaane toota kyun, main sheesha na taara
Mere imtehaan tu jo le raha hai
Ab na riyaayatain kar
Maine ishq seekha, maine pyaar seekha
Tu chaahe nafratain kar
Maine dil diya hai, maine dukh liya hai
Tu sauda hi maan le par
Mere imtehaan tu jo le raha hai
Ab na riyaayatain kar
Aawara, aawara, awaara angaara
Raaton mein dooba ambar ka banjaara
Jaane toota kyun, main sheesha na taara
Mere imtehaan tu jo le raha hai
Ab na riyaayatain kar
Maine ishq seekha, maine pyaar seekha
Tu chaahe nafratain kar
About The Song
Aawara Angaara is written by Irshad Kamil.