Yeh sooraj se bhi keh do
Ke apni aag bujha kar baat kare
Yeh sooraj se bhi keh do
Ke apni aag bujha kar baat kare
Agar usse baatein karni hain
To phir nazar jhuka kar baat kare
To phir nazar jhuka kar baat kare
Taare uske haathon mein hone chahiye
Jugnu bhi uske saath hi sone chahiye
Ho khushbuon se uski sifarish ki jaaye
Ho khushbuon se uski sifarish ki jaaye
Ae khuda tu keh de apne baadalon ko
Ae khuda tu keh de apne baadalon ko
Mera yaar hans raha hai, baarish ki jaaye
Yaar hans raha hai, baarish ki jaaye
Yeh sooraj se bhi keh do
Ke apni aag bujha kar baat kare
Agar usse baatein karni hain
To nazrein jhuka kar baat kare
Ho yeh sooraj se bhi keh do
Apni aag bujha kar baat kare
Agar usse baatein karni hain
To nazrein jhuka kar baat kare
Mohabbat-e-jaani ki
Poori khwahish poori ki jaaye
Mohabbat-e-jaani ki
Poori khwahish poori ki jaaye
Ae khuda tu keh de apne baadalon ko
Ae khuda tu keh de apne baadalon ko
Mera yaar hans raha hai, baarish ki jaaye
Yaar hans raha hai, baarish ki jaaye
Haaye aashiq hone mein
Kitna waqt lag jaata hai
Rab ke ghar tak pahunchne mein
Kitna waqt lag jaata hai
Dekha use toh samajh aaya
Ke jannat paane mein bhi
Kitna waqt lag jaata hai
Yeh zamaana jaane na
Kya kar sakti hai mohabbat
Ho mere yaar ki nazrein toh
Dariya bhi dooba sakti hain
Uska bas chale toh
Saara dariya pee jaaye
Uska bas chale toh
Saara dariya pee jaaye
Ae khuda, ae khuda
Ae khuda tu keh de apne baadalon ko
Ae khuda tu keh de apne baadalon ko
Mera yaar hans raha hai, baarish ki jaaye
Yaar hans raha hai, baarish ki jaaye
Ae khuda tu keh de apne baadalon ko
Mera yaar hans raha hai, baarish ki jaaye
Yaar hans raha hai, baarish ki jaaye
Na duniya ke liye likhte
Na mere liye likhte
Na duniya ke liye likhte
Na mere liye likhte
Ghalib zinda hote
To tere liye likhte
Ghalib zinda hote
To tere liye likhte
LYRICS OF BAARISH KI JAAYE:
“Baarish Ki Jaaye” is a soulful Hindi song sung by B Praak featuring Nawazuddin Siddiqui and Sunanda Sharma. The track beautifully expresses deep love and longing through poetic lyrics and emotional music.