Oonche oonche parvat gaaye
Humko apne paas bulaaye
Kismat wale hote hain woh
Maa jin ko awaaz lagaaye
Sapne mein Jagdamba ne apna dwar dikhaya hai
Aaj toh rukna mushkil hai, Maa ka bulawa aaya hai

Meri aankhon mein jo dekhi tune peer thodi si bhi
Hanste hanste, Maai, tere naina bhare hain

Tere jaisa kaun jag mein, jab chubhe hain kaante pag mein
Mujhse pehle, Maai, tere aansu gire hain, haan
Beta Maa ko bhool bhi jaaye, Maa ne kahaan bhulaya hai
Aaj toh rukna mushkil hai, Maa ka bulawa aaya hai
Sapne mein Jagdamba ne apna dwar dikhaya hai
Aaj toh rukna mushkil hai, Maa ka bulawa aaya hai
Aaj toh rukna mushkil hai, Maa ka bulawa aaya hai
Paudi paudi chadhte jaao, kehte jaao “Jai Mata Di”
Paas bahut hai Maa ka mandir, sab dohraao “Jai Mata Di”
Rukne paaye na jaikara, saare gaao “Jai Mata Di”
Saare gaao “Jai Mata Di”
Paon ke chhaale bol rahe hain, “Maa ke siwa sab maaya hai”
Aaj toh rukna mushkil hai, Maa ka bulawa aaya hai
Sapne mein Jagdamba ne apna dwar dikhaya hai
Aaj toh rukna mushkil hai, Maa ka bulawa aaya hai
Aaj toh rukna mushkil hai, Maa ka bulawa aaya hai
LYRICS OF MAA KA BULAWA:
“Maa Ka Bulawa” is a devotional bhakti song that expresses faith, love, and deep spiritual connection with Maa Durga. The lyrics beautifully show the feeling of being called by the Goddess and the emotional journey of devotion.